We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Ae Imam-ul-Huda Muhib-e-Rasool Deen ke muqtada Muhib-e-Rasool


Naib-e-Mustafa Muhib-e-Rasool Sahib-e-istifa Muhib-e-Rasool


Khadim-e-Murtaza Muhib-e-Rasool Mazhar-e-irtiza Muhib-e-Rasool


Ain-e-haq ka bana Muhib-e-Rasool Ain-e-haq ka bana Muhib-e-Rasool


Zubdatul-atqiya Muhib-e-Rasool Umdatul-azkiya Muhib-e-Rasool


Ghurba par fida Muhib-e-Rasool Umra se juda Muhib-e-Rasool


Ae salaf iqtida Muhib-e-Rasool Ae khalaf peshwa Muhib-e-Rasool


Saqam-e-dil ki shifa Muhib-e-Rasool Chashm-e-deen ki safa Muhib-e-Rasool


Sharq-e-shaan-e-wafa Muhib-e-Rasool Barq-e-jaan-e-jafa Muhib-e-Rasool


Ae karam ki ghata Muhib-e-Rasool Apni barish barha Muhib-e-Rasool


Kyun na ho chand sa Muhib-e-Rasool Noor ka jabha-sa Muhib-e-Rasool


Haramein o Hami mein bas ke gaya Najaf o Karbala Muhib-e-Rasool


Tu Kalam-e-Khuda ka hafiz hai Tera Hafiz Khuda Muhib-e-Rasool


Abdul Qadir na kyun ho naam ke hai Zill-e-Ghaus-ul-Wara Muhib-e-Rasool


Mash'al-e-rah-e-deen o sunnat hai Tere rukh ki ziya Muhib-e-Rasool


Achhe pyare ki khana-zadi hai Achha pyara bana Muhib-e-Rasool


Sharm wale Ghani ka beta hai Kaan-e-jood o haya Muhib-e-Rasool


Aaj qaim hai dam-e-qadam se tere Deen-e-haq ki bina Muhib-e-Rasool


Theek mayar-e-sunniyat hai aaj Teri hub o wila Muhib-e-Rasool


Sunniyat se phira Huda se phira Ab jo tujh se phira Muhib-e-Rasool


Mustafa ka hua Khuda ka hua Ab jo tera hua Muhib-e-Rasool


Mudnib-e-bad-mazaq ra zahr ast Shahd-e-saaf-e-shuma Muhib-e-Rasool


Aasi-e-roosiyah dushman-e-tost Rang-e-roo shud gawah Muhib-e-Rasool


Kharzaron ke waste hai samoom Gulbanon ko saba Muhib-e-Rasool


Hadam-e-bunyan-e-Najd ka turra Tere sar par saja Muhib-e-Rasool


Hazm-e-ahzab-e-Nadwah ka sehra Tere mathay raha Muhib-e-Rasool


Rafz o tafzeel o Najdiyat ka gala Tere hathon kata Muhib-e-Rasool


Tu ne abna-e-bad-mazaqi ko Paye-padar kar diya Muhib-e-Rasool


Matami hain zanane-e-Najd ke haye Bewah tu ne kiya Muhib-e-Rasool


Jalte hain Nadwiyah ke sadar ki qadr Sard ki tu ne ya Muhib-e-Rasool


Sar mundate hi par gaye oolay Tujh se pala para Muhib-e-Rasool


Bakht khul jata takht mil jata Tu ne bandi rakha Muhib-e-Rasool


Makaru makruhum wa indallahi Makruhum wal jaza Muhib-e-Rasool


Koh afgan tha un ka makr magar Makr-e-Haq tha bara Muhib-e-Rasool


Pehle bhi makrdar-e-Nadwah ko Haq ne di thi saza Muhib-e-Rasool


Baad tera sadi ke phir uchhla Ab woh tujh se daba Muhib-e-Rasool


Un ki jo rudad thi kar di Tu ne dam mein haba Muhib-e-Rasool


Zar ke mufti bana karein mukhti Tu hai mufti baja Muhib-e-Rasool


Nazim-e-fitna lakh hon tu hai Nazim-e-ihtida Muhib-e-Rasool


Jhoote haqqani bante hain gumrah Sachay haqqani aa Muhib-e-Rasool


Kuch madahan Humeer-e-Meer bane Meer un ko suna Muhib-e-Rasool


Yun na samjhein tu sar uraya aap Tu dil un ka ura Muhib-e-Rasool


Nadwi jhanjhalate hain ke wahi to hain Asad-e-Ahmad Raza Muhib-e-Rasool


Ghafil is se ke ek Sunni hai Fauj-e-Haq mein hoon ya Muhib-e-Rasool



Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play


Gallah-e-baz ko ek sher bahut Woh bhi la-siyyama Muhib-e-Rasool


Ham be-jami' ramah ramad az sher Lutf-e-deh jum'ah ra Muhib-e-Rasool


Mere sattar (70) sawal ka qarza Na ada ho saka Muhib-e-Rasool


Na ada ho agarche mahshar tak Dheel unhein de qaza Muhib-e-Rasool


Beeson elanon par bhi hat na saka Ghoonghat un mukhron ka Muhib-e-Rasool


Sharm-e-nau-khastan rahi hail Nadwi ko hasrata Muhib-e-Rasool


Haal-e-mustanfira ka qaswara se Sab ne dekha suna Muhib-e-Rasool


Mere khanjar ki tab la na sake Khak pahunchein ge ta Muhib-e-Rasool


Galiyan dein jawab ke badle Zaa haniyan lanna Muhib-e-Rasool


Sho'la-khuyon ko chher kar sunna Yan hai is ka maza Muhib-e-Rasool


Talkh zebad lab-e-shakar-khara Khwaja farma chuka Muhib-e-Rasool


Haan na un do ka teesra dekha Aankhein khultein zara Muhib-e-Rasool


Teesra kaun aun-e-Haq jis ka Main faqeer aur gada Muhib-e-Rasool


Teesra kaun badr-e-Haq jis ka Sharq mein aur sama Muhib-e-Rasool


Teesra kaun mehr-e-Haq jis ka Nuqta mein mantiqa Muhib-e-Rasool


Saya un do pe kaise do ka hai Jin ka salis Khuda Muhib-e-Rasool


Sani-as-snaini iz huma fil-ghaar Main nisar aur fida Muhib-e-Rasool


Balke do ahwali se kehte hain Main hoon tujh mein fana Muhib-e-Rasool


Na tu mujh se juda na main tujh se Main tera tu mera Muhib-e-Rasool


Ghalati ki tera mera kaisa Tu man o man tu ya Muhib-e-Rasool


Yeh bhi tere kaam se hai warna Man kuja o kuja Muhib-e-Rasool


Main kahan aur kahan ta'alallahu Teri madh o sana Muhib-e-Rasool


Teri ne'mat ka shukr kya keejiye Tujh se kya kya mila Muhib-e-Rasool


Aur to aur Sheikh tujh se mila Is se barh kar hai kya Muhib-e-Rasool


Sheikh bhi woh ke jis ke dar ki khak Chashm-e-jaan ki jala Muhib-e-Rasool


Sheikh bhi woh ke ek jhalak mein kare Shab ko Shams-ud-Duha Muhib-e-Rasool


Sheikh bhi woh ke jis ki ek nigah Do jahan ka bhala Muhib-e-Rasool


Sheikh bhi woh ke jis ke mujrai Auliya asfiya Muhib-e-Rasool


Sheikh bhi woh ke fitnon ki hai qaza Jis ki ek ek ada Muhib-e-Rasool


Sheikh bhi woh ke jis ke naam ka wird Dard-e-dil ki dawa Muhib-e-Rasool


Sheikh bhi woh jis ke ishq ki aag Naar se hai naja Muhib-e-Rasool


Sheikh bhi woh ke Haq ke phool khilaye Jis ke dam ki hawa Muhib-e-Rasool


Sheikh bhi woh ke jis ka aab-e-wuzu Bagh-e-deen ki baha Muhib-e-Rasool


Sheikh bhi woh ke khak-e-pa se kare Mis-e-jaan ko tila Muhib-e-Rasool


Sheikh bhi kaun Hazrat-e-Aal-e-Rasool Khatam-ul-Auliya Muhib-e-Rasool


Is ke dar tak rasai tujh se mili Tu hua rahnuma Muhib-e-Rasool


Mujh pe wajib hai tera shukr-e-ne'am Mujh pe lazim dua Muhib-e-Rasool


Jagmagate charagh sunnat ke Ta-abad jagmaga Muhib-e-Rasool


Na kabhi baad-e-hadisa paas aaye Na kabhi jhilmila Muhib-e-Rasool


Da'iman teri nasl-e-roshan mein Shama ho shama-za Muhib-e-Rasool


Rahe ta roz-e-nooruhum yas'a Roz afzoon ziya Muhib-e-Rasool


Muqtadir tere nau-baron ko kare Tujh se bhi kuch siwa Muhib-e-Rasool


Tere saya mein lahlayein khilein Tere gul-gulbuna Muhib-e-Rasool


Mauris-e-majd o fazl-e-aaba ho Waris-ul-Anbiya Muhib-e-Rasool


Khaar dar chashm o khwar dar chashman Dushman-e-t dast-e-da'iman Muhib-e-Rasool


Tujh pe fazl-e-Rasool ka saya Mujh pe saya tera Muhib-e-Rasool


Mera shafe' huzoor-e-Ghaus mein ho Madh ka de sala Muhib-e-Rasool


Mudda'i se mujhe bacha lein Ghaus Dil ka dein mudda'a Muhib-e-Rasool


Mere sab kaam un se banwa de Zahiran batinan Muhib-e-Rasool


Mujhe kar de Raza-e-Ahmad woh Jis ne tujh ko kiya Muhib-e-Rasool


Aah sad aah main hoon bi'sal-abd Madad ae habbaza Muhib-e-Rasool


Bi'sa ko ni'ma se badlwa de Apne Maula se ya Muhib-e-Rasool


Kaun Maula woh Sayyid-ul-Afrad Ghaus-e-har doosra Muhib-e-Rasool


Main bhi dekhun jo tu ne dekha hai Roz-e-sa'i-e-safa Muhib-e-Rasool


Haan yeh sach hai ke yan woh aankh kahan Aankh pehle dila Muhib-e-Rasool


Teenon bhai na koi gham dekhein Ishq-e-Shah ke siwa Muhib-e-Rasool


Mere beton bhatijon ko bhi ho Ilm-e-nafe' ata Muhib-e-Rasool


Deen o duniya ki izzatein payein Rad rahe har bala Muhib-e-Rasool


Khatima sab ka deen-e-Haq pe kare Kalima-e-Tayyiba Muhib-e-Rasool


Khuld mein zer-e-zill-e-Ghaus-e-Kareem Rahein yak-ja Raza Muhib-e-Rasool

No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah