Allah re kya bargah-e-Ghawth-e-Jali ؓ hai Gardan ko jhukaaye huye ek ek wali hai
Woh zaat gulistan-e-risalat ﷺ ki kali hai Nau-rusta gul-e-gulshan-e-Zahra ؑ o Ali ؑ hai
Aulad-e-Hasan ؑ, Aal-e-Husain ؑ ibn-e-Ali ؑ hai beshak Shah-e-Baghdad, wali ibn-e-wali hai
Sab un ki inayat hai, khafi hai ke jali hai Har rasm-e-karam un ke gharane se chali hai
Jis dil pe nazar un ki ho, woh roshan-o-beena Un ko jo pasand aaye, wahi baat bhali hai
Hoon naqsh-e-qadam jis pe Nabi ﷺ aur Ali ؑ ke Us dar pe kisi ki na chale gi, na chali hai
Ek silsila-e-noor hai har saans ka rishta Imaan mera hubb-e-Nabi ﷺ, mohr-e-Ali ؑ hai
Us zaat se shahi ke qareenay koi seekhay Woh zaat ke jo faqr ke saanchay mein dhali hai
Mujh ko bhi mohabbat hai bohat, baad-e-saba se Kyun kar na ho aakhir tere koochay se chali hai
Mushkil hui aasaan, liya naam jo un ka Yoorish gham-o-aafat ki mere sar se tali hai
Mahshar mein wahi ghaza-e-anwaar banay gi Mitti tere koochay ki jo chehray pe mali hai
Har gaam pe sajday ki tamanna hai jabeen ko Yeh kis ka dar-e-naaz hai? Yeh kis ki gali hai?
Jo noor hai Baghdad ki galiyon ka ujaala Har ek kiran us ki Madinay se chali hai
Main un ka hoon ta hashr Naseer ؔ un ka rahoonga Sad shukr ke un se meri nisbat azali hai





