Allah Allah ! Yeh thi seerat-e-Usman-e-Ghani Deen par sarf hui daulat-e-Usman-e-Ghani
Rafta rafta woh barhi azmat-e-Usman-e-Ghani Donon aalam mein hui shohrat-e-Usman-e-Ghani
Ek zara bai'at-e-Rizwan ki bhi tafseer parho Bai'at, Allah ki hai, bai'at-e-Usman-e-Ghani
Karam-e-Khaliq-e-Konain raha shamil-e-haal Qabil-e-rashk bani, qismat-e-Usman-e-Ghani
Aap ne jame-e-Quran ka laqab paya hai Deen-o-dunya mein barhi azmat-e-Usman-e-Ghani
Ishq-e-Allah-o-Rasool ﷺ aap ko mil jaye ga Dil mein paida toh karein ulfat-e-Usman-e-Ghani
Woh sahabi thay, mujahid thay, khalifa thay Naseer Naaz-e-Islam banay, Hazrat-e-Usman-e-Ghani





