Ajmer bulaya mujhe Ajmer bulaya Ajmer bula kar mujhe mehman banaya
Ho shukr ada kaise ke mujh paapi ko Khawaja Ajmer bula kar mujhe darbar dikhaya
Sultan-e-Madinah ki mohabbat ka bhikari Ban kar main Shaha! aap ke darbar mein aaya
Duniya ki hukumat do na daulat do na sarwat Har cheez mili jaam-e-mohabbat jo pilaya
Qadmon se laga lo mujhe qadmon se laga lo Khawaja hai zamane ne bada mujh ko sataya
Dooba abhi dooba mujhe lillah sambhalo Sailab gunahon ka bade zor se aaya
Ho chashm-e-shifa ab to Shaha! su-e-mareezan Isyaan ke marz ne hai bada zor dikhaya
Sarkar-e-Madinah ka bana dijiye aashiq Yeh arz liye Shah Karachi se main aaya
Ya Khawaja karam kijiye hon zulmatein kafoor Batil ne bade zor se sar apna uthaya
Attar karam hi se tere jam ke khada hai Dushman ne girane ko bada zor lagaya





