Zamaane ki har ek shay se buland... dhikr-e-Khuda Khuda ki Khuda ke Nabi ﷺ ki pasand... dhikr-e-Khuda
Har ek raaz-e-dil par nazar khol de... dar khol de Ke hai dard-mandon ka bhi dard-mand... dhikr-e-Khuda
Jo Quran ke raaste par chalein... phalein phalein Iradon pe sochon pe daale kamand... dhikr-e-Khuda
Khabar laaye duniya ki us paar ki... sansaar ki Hawaon ko karta hai mutthi mein band... dhikr-e-Khuda
Jo lamha Khuda ki sana mein basar... wahi motabar Har ek saans mein ghol deta hai qand... dhikr-e-Khuda
Muzaffar yeh ehsaan hai wajdan ka... imaan ka Kare inteha-e-talab ko do chand... dhikr-e-Khuda





