Yun to karte hain farishtey bhi ibadat teri Aayi insaan ke hissay mein niabat teri
Tera aaghaz bhi ab tak na koi jaan saka Kaun jaane ke kahan tak hai nihayat teri
Anbiya hi ne karaya hai ta'aruf tera Anbiya hi ne bayaan ki hai riwayat teri
Ho saka arz-o-sama se na tahammul jis ka Aakhir insaan ne sambhali hai amanat teri
Mast rakhta hai samundar ko tasawwur tera Koh ko wajd mein lati hai hikayat teri
Chand, taaray hain tere husn ka mazhar Maula! Lala-o-gul se numayan hai nafasat teri
Teri tasbeeh ke khoogar hain parinday saaray Patte patte se ayan hoti hai azmat teri
Qalb ki aankh khuli ho to pata chalta hai Tera irfan hai kya, kya hai haqeeqat teri
Apni taskheer ki koshish mein laga hai kab se Chahta hai tera Shahzad himayat teri