Yeh roz-o-shab kya hai yeh khizaan yeh bahaar kya hai Inhi se poocho ke hamd-e-Parwardigar kya hai
Har ek tarah ki hudood se us ki zaat baala Lakeer kya hai ahaata kya hai hisaar kya hai
Shuru-e-Quran kya hai "Alhamd" se Khuda ne Toh phir samajh lo ke is samundar ke paar kya hai
Har ek shay kainat ki madh-go hai uski Parho yeh takhleeq kya hai takhleeq-kaar kya hai
Yaqeen-e-kaamil hai gar tumhein uski qudraton par Toh jaan lo iztiraab kya hai qaraar kya hai
Umeed tooti sahaara toota iraade toote Toh aur be-ikhtiyaari-o-ikhtiyaar kya hai





