Tu asl-e-husn-o-jamal Ya-Rab! Tu khaliq-e-har kamal Ya-Rab!
Har ek tashbeeh se munazza Nahi hai teri misaal Ya-Rab!
Tera tasarruf hai khushk-o-tar par Tere hain dasht-o-jibaal Ya-Rab!
Barai shayan-e-shaan hai jis ke Tu hai wahi Zul-Jalal Ya-Rab!
Tujhe hi zeba hai bas takabbur Hai fakhr tera hi maal Ya-Rab!
Mujhe ata ho yaqeen ki daulat Chala tawaazo ki chaal Ya-Rab!
Khara hai kasa-ba-dast sail Jawab chahe, sawal Ya-Rab!
Gada ko bakhshe jo be-niyazi Ajab hai tera khayal Ya-Rab!
Kahin qadam larkhara na jaaye Sambhaal mujh ko sambhaal Ya-Rab!
Uthi hai seene mein ik chhan si Waraye huzn-o-malaal Ya-Rab!
Main mustahiq hoon mujhe ata ho Zakat-e-ishq-e-Bilal Ya-Rab!
Hawa hai tegh-e-hawas ka hamla Ata ho rehmat ki dhaal Ya-Rab!
Kare jo Shahzad koi dawa Kahan yeh us ki majaal Ya-Rab!