We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Teri jaanib jo dhiyaan baaqi haiVerified

Allama Dr. Muhammad Shehzad Mujadadi

Teri jaanib jo dhiyaan baaqi hai Is liye to jahaan baaqi hai


Teri yaadon ke faiz se Maula Qalb pe imtinaan baaqi hai


Aur har cheez ke liye hai fana Ek teri hi shaan baaqi hai



Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play


Jo tere rang se huye rangeen Un ka naam-o-nishan baaqi hai


Dam bharoon main teri ita'at ka Jab talak tan mein jaan baaqi hai


Karwatein lein kayi zamaane ne Par tera saayabaan baaqi hai


Bakhsh de ga gunaahgaar ko tu Yeh yaqeen, yeh gumaan baaqi hai


Mit gaye naam baadshahon ke Zikr tera har aan baaqi hai


Jaane Shahzad kis ada ke tufail Yeh zameen aasman baaqi hai

Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah