Tan pe ehram lapeta to Khuda yaad aaya Uth gaya zaat se parda to Khuda yaad aaya
Rehmaten us ki mere charon taraf thin lekin Apne aamal ko dekha to Khuda yaad aaya
Yun laga chhu liya ho hath Khuda ka jaise Hajar-e-Aswad ko jo chuma to Khuda yaad aaya
Samne se mere guzra mera sara mazi Kaabe ke gird main ghuma to Khuda yaad aaya
Reg-e-batin pe bohat eriyan ragrein main ne Piya Zamzam ka pyala to Khuda yaad aaya
Dono aankhon se meri ho gaye chashme jaari Safa Marwa pe bhi daura to Khuda yaad aaya
Surat-e-haal thi sab hashr ke maidan jaisi Hua Arafat rawana to Khuda yaad aaya





