Ta-umar rahegi rooh khursand Kar dil mein Haram ko aaina-band
Bas uski raza ko jaan maqsad Rakh aap ko uska aarzoomand
Gar hamd ki marifat se aaye Taseer ho naat-e-Shah ﷺ ki do-chand
Chamka nazar-e-aakhirat ki lau se Dunya ka na bhool kar ho farzand
Tauheed haqeeqat-ul-haqaa'iq Mazboot rakh us se jaan ka paiwand
Rukh jis ka Ilah ki taraf hai Rakh aap ko us raush ka paaband
Reh musta'id uski bandagi mein Har shai se hai qeemti ye ek pand
Ek lafz 'Bala' ka tha bazahir Meesaq tha woh azal ki saugand





