We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Teri Ta'at Ki Dunya Mein RahunNot Verified

Riaz Majeed

Teri ta'at ki duniya mein rahoon kuch Mere Allah! main bhi kar sakoon kuch


Guzari ab tak azad-rawi mein Main teri bandagi mein bhi jiyoon kuch


Ita'at ki fiza-e-khair za mein Khiloon aage barhoon phooloon phaloon kuch



No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play


Bane jo wird khilqat ki zaban ka Sukhan do chaar aise bhi likhoon kuch


Ita'at-kho, bhale logon ki surat Fiza-e-bandagi mein gum rahoon kuch


Amal naame mein rang aa jaayein Ya Rab! Behisht andaaz kuch firdaus-goon kuch


Jise Aqa pazirayein Ilahi Durood us ajz-o-riqqat se parhoon kuch


Karoon tasbeeh teri khalwaton mein Main hat kar jalwaton se ab rahoon kuch


Riaz acha lage Rahman ko jo Main kaash aisa amal bhi kar sakoon kuch

Your Lyrics, Even Offline - Install the App for Free!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah