Ghair mumkin hai ata mein yahan takheer ki baat Mukhtalif dahr se dehleez-e-zaman-geer ki baat
Bhari deewan se' jo maqbool ho ek misra bhi Nahin tadaad ki' yeh saari hai taseer ki baat!
Kaisa dar jood-o-sakha ka hai ke daryuza garo! Khwab se pehle yahan hoti hai tabeer ki baat
Un gali koochon ki khaak aaina hai jannat ka Yahan karti hai hawa khuld ki tasveer ki baat
Un ﷺ ki baaton mein hain asrar-e-jahan-bani ke Un ﷺ ki seerat mein hai aqwam ki tameer ki baat
Ek maqbool salam' ek sarfaraz durood! Khubi-e-bakht ki zebai-e-taqdeer ki baat!
Sarsari jaan na is zauq-e-sana-kari ko Hai yeh taz'eem ki' takreem ki' tauqeer ki baat
Nahin alfaaz se anwar ka mumkin izhaar Khaak se kya ho bayan sarmadi tanveer ki baat
Un ki nisbat hai Riaz aaina nasl-dar-nasl Az azal ta-ba-abad noor ki zanjeer ki baat





