Duniya mein koi bhi nahi tere siwa, mere Khuda! Hajat rawa-o-charah gar, mushkil kusha mere Khuda!
Tu ne jo bheja hai Nabi ﷺ nabiyon mein hai woh aakhri Woh muftakhar, woh muntakhab, woh Mustafa, mere Khuda!
Dil mein yahi gardan ho 'Ya Rabb ho Ya Rahman' ho 'Hannan Ya Mannan' ho subh-o-masa, mere Khuda!
Kirmak koi patthar mein ho, zi-rooh behr-o-bar mein ho Mohtaj hai tera hi woh, hai jis jagah mere Khuda!
Sayyargan ke da'ire, yeh kehkeshaon ke kare Tere sabab gardish mein hain phaile khala mere Khuda!
Baatein teri hukumat bhari, farman tere roshni Tu nafs ke zulmaat mein hai rehnuma, mere Khuda!
Paani ka qatra ho koi, mitti ka zarra ho koi Khud mein mukammal hai jahan, hikmat bhara, mere Khuda!
Ae chara-e-be-chargan! Ae dastgir-e-be-kasan! Meri har ek takleef mein tu aasra mere Khuda!
Jo khalq ka mat'oob ho, maghzoob ho, us par bhi tu Din raat karta hai karam, be-intaha mere Khuda!
Aasi tera, mujrim tera, Riaz par khata Umeedwar-e-fazl hai, mere Khuda mere Khuda!





