Ta hadd-e-aql phaila hua hai zaman-e-hamd Har ek makaan ke baad hai ek la-makaan-e-hamd
Har aan ho raha hai kuch aise bayaan-e-hamd Har cheez kainat ki hai ek jahaan-e-hamd
Yun naat ke jalo mein chale karwaan-e-hamd Ho naat ke safeene pe jab baadbaan-e-hamd
Maula karam ho, giri mehshar mein ja mile Zer-e-liwa-e-hamd, teh-e-saayebaan-e-hamd
Tasbeeh ke tasalsul-e-khamosh se bhari Be-saut goonjti hai khala mein azaan-e-hamd
Deewan-e-hamd zaar hai mera misal-e-khuld Utra hai har zameen pe ek aasman-e-hamd
Khush-taale'i pe kyun na kare naaz hamd-go Allah ka Rasool ho jab qadardan-e-hamd
Jo shay hai aasmaan mein, jo shay hai zameen mein Tasbeeh-khwan hai woh teri aye meherbaan-e-hamd
Hain Aapؐ ka talazuma har sher mein Riazؔ Aaye khayal-e-naat na kyun darmiyaan-e-hamd





