Hum dast rahein zeest ke asbaab salaamat Maula! Rahein daaim mere a'saab salaamat
Oujhal na nigaahon se rahe manzil-e-maqsood Firdous ke aankhon mein rahein khwaab salaamat
Koshhaan rahoon afzoodagi-e-asl-e-sanaa mein Dil mein rahe yeh sa'ee-e-tanak-taab salaamat
Roshan haram-e-Shah-e-ؐ ke rahein gumbad-o-meenaar Dil mein rahein woh mimbar-o-mehraab salaamat
Dhundlaayein na mere sukhan, aashob-e-zamaan se Lafzon ki rahe mere sadd-e-aab salaamat
Ma'ni na diye jaaein inhe aur tarah ke Alfaaz salaamat rahein a'raab salaamat
Aankhon mein rahein sheeftagi-e-Aal ke anwaar Jaan mein rahe dil-khwaahi-e-Ashaab salaamat
Buniyaad mein is ki mere purkhon ka lahoo hai Maula! Rahe yeh qaryat-e-shaadaab salaamat
Tashweesh-e-Corona mein Riyaaz ek du'a hai Sab ahl-o-iyaal aur sab ahbaab salaamat





