Sunni aahat teri, dekha haram hai Tera naqsh-e-qadam, mera haram hai
Mere sajdon ki ho kyonkar rasai Mere sar se bahut ooncha haram hai
Abhi tak hai tere ashkon ki khushbu Hira teri jawani ka haram hai
Chupa rakha hai seene mein Nabi ﷺ ko Zameen ka sara sarmaya haram hai
Amal ki jaib mein sikke hain kitne Khareedaron bahut mehnga haram hai
Khuda bhi mere andar Mustafa ﷺ bhi Haram ke saamne goya haram hai
Hawaein haath hain aankhein ujala Badan hai zindagi chehra haram hai
Khuda ka noor hai jism-e-Muhammad ﷺ Khuda ke arsh ka saya haram hai
Woh koo-e-waqt ka pehla musafir Usi ka mustaqil hujra haram hai
Zaroori hai tawaf iska zaroori Haram hai markaz-e-duniya haram hai
Muhammad ﷺ aa rahe hain ja rahe hain Mera dil hai Muzaffar ya haram hai





