Silsila aah! gunahon ka barha jata hai Nit naya jurm har ik aan hua jata hai
Qalb pathar se bhi sakhti mein barha jata hai Khaul par khaul siyah-i ka charha jata hai
Nafs-o-shaitan ki har aan ita'at par dil Aah! mail mere Allah hua jata hai
Laaun woh ashk kahan se jo siyah-i dho'ein Gandagi mein mera dil had se barha jata hai
Aarizi aafat-e-duniya se to darta hai dil Haaye be-khauf azabon se hua jata hai
Yeh tera jism jo bimar hai tashweesh na kar Yeh maraz tere gunahon ko mita jata hai
Asal barbad kun amraz gunahon ke hain Bhai kyun is ko faramosh kiya jata hai
Asal aafat to hai narazi-e-Rabb-e-Akbar Is ko kyun bhool ke barbad hua jata hai
Al-madad Ya Shah-e-Abrar Madine wale Qalb se khauf-e-Khuda door hua jata hai
Aah! daulat ki hifazat mein to sab hain koshan Hifz-e-imaan ka tasawwur hi mita jata hai
Yaad rakho! wohi be-aql hai ahmaq hai jo Kasrat-e-maal ki chahat mein mara jata hai
Apni ulfat ka mujhe jaam pilado saqi Qalb duniya ki mohabbat mein phansa jata hai
Imtihan ke kahan qabil hoon main pyare Allah Be-sabab bakhsh de Maula tera kya jata hai
Aah! jati nahin hai aadat-e-yawah goi Waqt, anmol yun barbad hua jata hai
Aah! aansu gham-e-duniya mein bahe jate hain Dil bhi duniya ke ghamon hi mein jala jata hai
Apna gham aisa ata kar ke kaleja phat jaye dekh ke sab kahein deewana chala jata hai
Walwala sunnat-e-Mehboob ka de de Malik Aah! fashion pe musalman mara jata hai
Tere deewane Madine ke liye hain betab Jaane kab izn, Madine ka diya jata hai
Aakhiri waqt hai aaja mere Madani aaja Aah! mujrim tera duniya se sha jata hai
Jalwa-e-paak dikha ja mere Madani aaja Aah mujrim tera duniya se sha jata hai
Mujh ko ab kalma parha ja mere Madani aaja Aah mujrim tera duniya se sha jata hai
Mujh ko qadmon se laga ja mere Madani aaja Aah mujrim tera duniya se sha jata hai
Mere isyan ko mita ja mere Madani aaja Aah mujrim tera duniya se sha jata hai
Mere Aaqa sar-e-mahshar mera parda rakhna Raaz aibon ka mere faash hua jata hai
Aao ab bahr-e-shafa'at mere Shafe' aao Aah badkar azabon mein ghira jata hai
Muskura kar meri sarkar mujhe keh do na Aa tujhe daman-e-rehmat mein liya jata hai
Kaash! Attar se farmayein qayamat mein Huzoor Le mubarak ke tujhe bakhsh diya jata hai





