Shab ko mahtaab nikala hai Din mein khursheed uchala hai Jis ka har samt ujala hai Bandu! Allah Ta'ala hai
Duniya-e-rangeen ki dulhan Jaate lamhon ki doli mein Shabnam ki abraq phoolon par Moti, darya ki jholi mein Yeh kis ki meena kaari hai Kaun aisi khoobiyon wala hai Bandu! Allah Ta'ala hai
Mehkar juda aawaz juda Dhun apni apni saaz juda Chehre se nahin milta chehra Har paikar ke andaaz juda Shahkar banaye yeh jis ne Haan woh fankar nirala hai Bandu! Allah Ta'ala hai
Qabza hai jis ki chutki ka Shah-rag par hum insano ki Woh jis ke aage jhuk jaaye Paishani nafarmano ki Har manzar jis ka partau hai Har ik tehreer hawala hai Bandu! Allah Ta'ala hai





