Pul-e-siraaton se guzar, jism na rakh, dil ho ja Zindagi sarhad-e-tauheed mein dakhil ho ja
Shauq-e-ta'zeem suraagh us ka lagaana hai agar Raastay kaat ke aawara-e-manzil ho ja
Sirf apne khad-o-khaal mein masroof na reh Pas-e-aaina ki aawaaz mein shaamil ho ja
Paaon uthay ga tera, aayegi aahat us ki Be-nishaani ka safar karne ke qaabil ho ja
Apni manaiyaan bhi dil ke hawalay kar de Saans taqseem na kar, umr ka haasil ho ja
Kis ne pehchana hai Allah ke siwa Allah ko Be-panahi-e-talab ka mutahammil ho ja
Ret par baith kar nazaara-e-gardaab na kar Jahan gehrai utarti hai woh saahil ho ja
Kursi-o-arsh bhi palkon pe utha sakta hai Khauf-o-umeed ke maabain ka haamil ho ja
Maar sakta nahin phir koi Muzaffar tujh ko Apne ehsas-e-maseehai ka qaatil ho ja





