Meri nazar mere dil meri jaan ka maalik tu Mere sukoot ka mere bayaan ka maalik tu
Mujhe to lamha-e-aaindah ka bhi ilm nahi Nishaan ki tujh ko khabar, be-nishaan ka maalik tu
Qadam qadam teri taufeeq, reh-numa meri Reh-e-yaqeen se guzarte gumaan ka maalik tu
Adam wajood teri raah ke musafir hain Jahan koi nahi pahuncha wahan ka maalik tu
Bohat qareeb se dekha hai tujh ko sajde mein Namaz tere liye hai azaan ka maalik tu
Teri raza ke baghair ek saans na-mumkin Meri "nahi" tere qabze mein "haan" ka maalik tu
Barasti aankh ke peeche ghataaein hain teri Dilon mein bikhri hui kehkashaan ka maalik tu
Tere khayal se aabad meri tanhai Ragon mein chalte hue karwaan ka maalik tu
Tamaam rang bhare kaainaat mein tu ne Khushi ka ranj ka sood-o-ziyaan ka maalik tu





