Mere liye mere Allah do haram hain bohat Mere gunah teri rehmaton se kam hain bohat
Tu saamne sahi tujh tak rasai sahal nahi Yeh rah-e-raast woh hai jis mein pech-o-kham hain bohat
Khata maaf main do wahdaton ka qail hoon Ke tere baad Muhammad ﷺ bhi mohtaram hain bohat
Kidhar kidhar teri aawaaz ki taraf jaaun Wajood ek hai mera magar adam hain bohat
Rah-e-sulook mein yeh kaunsa maqam aaya Ke khanda zan bhi hoon aankhein bhi meri nam hain bohat
Niyaaz-mand Muzaffar ko bhi bana un ka Woh khaas hastiyan jin par tere karam hain bohat





