Mere ehsas mein tu hai mere kirdar mein tu Piyas se barh ke hai paimanah-e-iqrar mein tu
Ikhtiyarat bhi lete hain ijazat tujh se Sar mein tu sar pe sajayi hui dastar mein tu
Deedah-e-zahir-o-batin se tujhe pehchana Pardah-e-khak mein tu shakh-e-samar dar mein tu
Apni aankhon mein lagau tujhe surmay ki tarah Nazar aajaye agar kocha-o-bazar mein tu
Dekhne wali nazar dekh rahi hai tujh ko Aainah aainah tu pardah-e-asrar mein tu
Mukhtalif zaviyon se dekh raha hoon tujh ko Din mein tu raat mein tu phool mein tu khar mein tu
Ronaq-e-sham-o-sahar hai tere harf-e-kun se Fasilah fasilah tu waqt ki raftar mein tu
Zindagi aab-o-hawa rizq ajal sab ke liye Apne munkir mein hai tu apne talab gar mein tu





