Masjid-e-Noor-e-Jaan mein pahuncha de Aye Khuda la-makaan mein pahuncha de
Aalam-e-amr ka musafir hoon Mujh ko us kaarwaan mein pahuncha de
Qareeb tera yaqeen ban jaaye Is maqam-e-gumaan mein pahuncha de
Allah Allah wird hai mera Khaak ko kehkashaan mein pahuncha de
Har nafs par teri taraf daudoon Be-makaan ko makaan mein pahuncha de
Nau ke nau arsh paar kar jaaun Halqa-e-ashiqaan mein pahuncha de
Kar de apni mohabbat-on mein fana Hujra-e-jaavadaan mein pahuncha de
Khench kar mere gird apni lakeer Sidra-e-bekaraan mein pahuncha de
Dekh loon main bhi Kaaba-e-baala Malakooti azaan mein pahuncha de
Mere Mabood aye mere Mabood Abadiyat ki amaan mein pahuncha de





