Maangne waalo Rab se maango ۔۔۔ woh sab ki sunta hai sab ko deta hai Daaman bhi kam par jaate hain ۔۔۔ talab se barh kar ahl-e-talab ko deta hai
Kaise kaise rang bhare hain zarre zarre mein us ki khallaqi ke Kya hi baat hai us Razzaq ki kya hi kehne hain us ki razzaqi ke
Hum toh phir us ke bande hain ۔۔۔۔ Maalik toh maar-o-aqrab ko deta hai Woh sab ki sunta hai sab ko deta hai
Dhadkan dhadkan bandagiyon ke lehje mein aelaan-e-wafa karte rehna Shukr guzari us ko achi lagti hai shukr us ka ada karte rehna
Heere moti khaak nasheen ko ۔۔۔ baadal darya tishna lab ko deta hai Woh sab ki sunta hai sab ko deta hai
Jaanein na jaanein maanein na maanein jitne bhi insaan hain naib us ke hain Saari duniyaein us ki hain saare mashriq saare maghrib us ke hain
Din ko ujli ujli qabaein ۔۔۔ kaali kaali chadar shab kar deta hai Woh sab ki sunta hai sab ko deta hai





