We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Karein Tere Hi Naam Ki TasbeehNot Verified

Riaz Majeed

Karein tere hi naam ki tasbeeh Adam ؑ o Nuh ؑ o Ibrahim ؑ o Maseeh


Manzil-e-hamd kis ne sar ki hai Gung is rah mein dehr bhar ke faseeh


Jo zameen mein, jo aasmaan mein hai shay Karti hai tere naam ki tasbeeh


Sab zabaanon mein jitne lafz hain woh Kya karein teri zaat ki tashreeh



Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play


Sirf hairat hai shash jahat hairat Taab-e-tauzeeh ne dam-e-tasreeh


Dambadam teri kilk-e-rehmat se Meri fard-e-amal ki ho tasheeh


Tera saara nizaam-e-maujoodaat Kitna be-nuqs, ujla aur saheeh

More Lyrics, Less Storage - Install the App and Ditch the Screenshots!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah