Jurm hain be-hisab Ya Tawwab Khol bakhshish ka baab Ya Tawwab
Pyaas bujh jaaye kisht-e-batin ki Bhej aisa sahab Ya Tawwab
Bakhsh taskeen qalb ko mere Door ho iztirab Ya Tawwab
Sun sada "Rabbana zalamna" ki Bakhsh be-ihtisab Ya Tawwab
Aankh nam hai jabeen-e-arq-aalood Qalb hai aab-e-aab Ya Tawwab
Tere lutf-o-karam ke darya se Main rahoon faizyab Ya Tawwab
Mere aibon pe daal de parda Taal saare azaab Ya Tawwab
Teri rehmat bana bhi deti hai Maasiyat ko sawab Ya Tawwab
Jis ko Tu khud sanwarna chaahe Woh ho kaise kharab Ya Tawwab
Mujh ko khugar bana ita'at ka Bakhsh Ilm-ul-Kitab Ya Tawwab
Tu hai Arham tera Rasool Raheem Hoga kis par itaab Ya Tawwab?
Dil se nikli hai soz-o-dard ke saath Ho dua mustajab Ya Tawwab
Zulmat-e-jaan ko noor kar ae Noor! Ho haqeeqat ye khwab Ya Tawwab
Qurb Shahzad ko nawaaz apna! Ab utha de hijaab Ya Tawwab