Jo chahta hoon aye mere Khuda ho jaaun Main tujh mein fana ho jaaun
Rang apne bhar de mere musavvir mujh mein Barsaat ho rehmat ki mutawatir mujh mein Gharq-e-daryaye hamd-o-sana ho jaaun Main tujh mein fana ho jaaun
Apne mein fana hone ki talab tu de ga Sajdon ko mere bedari-e-shab tu de ga Bas dhun hai yehi main sirf tera ho jaaun Main tujh mein fana ho jaaun
Rehne jo lage har waqt jabeen sajde mein Aflaak se bhi oonchi ho zameen sajde mein Khud apne liye jannat ki hawa ho jaaun Main tujh mein fana ho jaaun
Andar ka dhuaan, khushbu-e-jahaan ban jaaye Har ek rawaan is dil ki zabaan ban jaaye Main mustaqilan ik harf-e-dua ho jaaun Main tujh mein fana ho jaaun
Saya jo kare deewar-e-haram bhi mujh par Pad jaaye jo tera aks-e-karam mujh par Ik aaina-e-tasleem-o-raza ho jaaun Main tujh mein fana ho jaaun
Itni gehrai mein rooh tujhe thehraye Har saans mera parcham ki tarah lehraye Chup rehte hue bhi haq ki sada ho jaaun Main tujh mein fana ho jaaun
Hail na hon raah mein jaah-o-hasham duniya ke Khul jaayein meri aankhon pe bharam duniya ke Main tan mein rahoon aur tan se juda ho jaaun Main tujh mein fana ho jaaun
Woh silsila ho tujh se wabastagiyon ka Pat jhad mein bhi ehsaas ho taazagiyon ka Oopar se nahin andar se hara ho jaaun Main tujh mein fana ho jaaun
Mar jaaun toh aaye sada-e-baqa turbat se Nikloon na main tere daira-e-qurbat se Har zawiye se tasweer-e-wafa ho jaaun Main tujh mein fana ho jaaun





