We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Jis Kisi Ne Bhi Ki MidhahNot Verified

Riaz Majeed

Jis kisi ne bhi ki kisi ki madh Asal mein hai woh sab teri hi madh


Ho karam mujh khata-shiar pe bhi Ho qubool ae Khuda Khuda meri bhi madh


Sarsarahat hawaon ki tasbeeh Aur hai khaak ki khamoshi madh


Farsh se arsh tak karoon ne tarah Apne apne tareeq se ki madh


Tu Hameed aap apni zaat mein hai Munfarid har kisi se teri madh


Subh-e-kaazib mein kaise shabnam ne Phool ki pattiyon pe likhi madh


Kohsaaron ka raaz yaab sakoot Tere jabroot-o-farr ki thehri madh



Never Be Without Your Favorite Lyrics - Get the App for Offline Access!

Get it on Google Play


Lafz ka zarf kab kare is ki Phaile gehre samundaron se madh


Kis ne ki? Kaun kar sake ga Riaz Jaise Rabb ki Huzoor ﷺ ne ki madh

Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah