Ishq-e-Maula mein ho khoon-baar kinaar-e-daman Ya Khuda jald kahin aaye bahaar-e-daman
Beh chali aankh bhi ashkon ki tarah daman par Ke nahin taar-e-nazar juz do seh taar-e-daman
Ashk barsaaun chale koocha-e-jaanan se naseem Ya Khuda jald kahin nikle bukhaar-e-daman
Dil-shudon ka yeh hua daman-e-Athar pe hujoom Bedil-abad hua naam dayar-e-daman
Mushk sa zulf-e-shah-o-noor fishaan roo-e-huzoor Allah Allah halab-e-jaib-o-tataar-e-daman
Tujh se aye gul main sitam-deeda-e-dasht-e-hurmaan Khalish-e-dil ki kahun ya gham-e-khaar-e-daman
Aks-afgan hai hilal-e-lab-e-shah jaib nahin Mehr-e-aariz ki shuaa'ein hain na taar-e-daman
Ashk kehte hain yeh sheeda'i ki aankhein dho kar Aye adab gard-e-nazar ho na ghubaar-e-daman
Aye Razaؔ aah woh bulbul ke nazar mein jis ki Jalwa-e-jaib-e-gul aaye na bahaar-e-daman





