Ibtida tu hai intiha tu hai Ae ke khallaq-e-doosra tu hai
Sajda karte hain ambiya tujh ko Ae ke Ma’bood-e-Mustafa tu hai
Masdar-e-lutf, bargah teri Marja-e-aah-e-narsa tu hai
Rahat-e-qalb-o-jaan hai zikr tera Manba-e-rehmat-o-ata tu hai
Ae Ghani! Mughni, Ajwad-ul-Ajwad Apne har wasf mein juda tu hai
Bakhsh mere gunah ae Ghaffar! Ghafir-udh-dhanbi wal-khata tu hai
Tera har cheez par tasarruf hai Kyunke har cheez ka Khuda tu hai
Kyun na Shahzad teri hamd likhe Khaliq-e-husn-e-Wadduha tu hai