Har zamana Hateem tera hai Naam kitna qadeem tera hai
Aaina tera rang rang ke phool Aks, baad-e-naseem tera hai
Shak se Quran ko jis ne paak kiya Woh Alif Laam Meem tera hai
Azmatein sab tujhe karein sajda Rutba kitna azeem tera hai
Ambiya toh hazarha aaye Ik Muhammad ﷺ nadeem tera hai
Dosti kafiron se hai jis ki Darhaqeeqat ghaneem tera hai
Shukar ada kaun si zabaan se karoon Har karam hi Kareem tera hai





