Hajj ka sharaf ho phir ata Ya Rabb-e-Mustafa Meetha Madinah phir dikha Ya Rabb-e-Mustafa
Mil jaye ab rihayi firaq-e-Madinah se Ho yeh karam, ho yeh ata Ya Rabb-e-Mustafa
Dede tawaf-e-khanah-e-Ka'bah ka phir sharaf Farma yeh poora mudda'a Ya Rabb-e-Mustafa
Rukh su-e-Ka'bah haath mein Zam Zam ka jaam ho Pee kar main phir karoon du'a Ya Rabb-e-Mustafa
Phir qafila Ilahi bane "chal Madinah" ka Ahmad Raza ka wasita Ya Rabb-e-Mustafa
Sab ahl-e-khanah saath mein hoon kaash! chal pade Su-e-Madinah qafila Ya Rabb-e-Mustafa
Hoon saath mein nawasiyan aur un ke walidain Chalde Madine qafila Ya Rabb-e-Mustafa
Hoon saath pote potiyan aur un ke walidain Chalde Madine qafila Ya Rabb-e-Mustafa
Deewane Mustafa ke mere saath saath hoon Chalde Madine qafila Ya Rabb-e-Mustafa
Roti rahe jo har ghari ishq-e-Rasool mein Woh aankh dede Ya Khuda Ya Rabb-e-Mustafa
Ae kaash! mujh ko khwab mein ho jaye ek baar Deedar-e-Shah-e-Ambiya Ya Rabb-e-Mustafa
Hoon khatm mere mulk se takhreeb-kariyan Amn-o-aman ho ata Ya Rabb-e-Mustafa
Dunya ke jhagde khatm hoon aur mushkilein talain Sadqa Hasan Hussain ka Ya Rabb-e-Mustafa
Go jaan ko khatra hai meri imdad par hai tu Phir dushmano ka khauf kya Ya Rabb-e-Mustafa
Is tarah phaile neki ki dawat ke nek ho Har ek chota aur bada Ya Rabb-e-Mustafa
Be-pardagi ka khatimah ho auraton ko de Zewar haya-o-sharm ka Ya Rabb-e-Mustafa
Har maah Madani qafle mein sab karein safar Allah! jazba kar ata Ya Rabb-e-Mustafa
Ahkam-e-shar'a par mujhe dede amal ka shauq Paikar khuloos ka bana Ya Rabb-e-Mustafa
Qufle Madinah lab pe ho aur yeh sharaf mile Har dam karoon teri sana Ya Rabb-e-Mustafa
Ho jayen Maula masjiden aabad sab ki sab Sab ko namazi de bana Ya Rabb-e-Mustafa
Gheebat se aur tohmat-o-chughli se door rakh Khoogar tu sach ka de bana Ya Rabb-e-Mustafa
Ujb-o-takabbur aur bacha hubb-e-jaah se Aaye na paas tak riya Ya Rabb-e-Mustafa
Amraz-e-isiyan ne mujhe kar neem jaan diya Murshid ka sadqa de shifa Ya Rabb-e-Mustafa
Joon hi gunah karne lagoon, tere khauf se Fauran uthoon mein tharthara Ya Rabb-e-Mustafa
Teri khashiyat aur tere dar se, khauf se Har dam ho dil yeh kanpta Ya Rabb-e-Mustafa
De naz'a-o-qabr-o-hashr mein har ja aman, aur Dozakh ki aag se bacha Ya Rabb-e-Mustafa
Aankhon mein jalwah Shah ka aur lab pe na'at ho Jab rooh tan se ho juda Ya Rabb-e-Mustafa
Ae kaash! zer-e-gumbad-e-Khazra paye Ziya Imaan par ho khatimah Ya Rabb-e-Mustafa
Mujh ko Baqi-e-Pak mein madfan naseeb ho Ghaus-ul-Wara ka wasita Ya Rabb-e-Mustafa
Jis dam woh aayen qabr mein, meri zaban par Bas Marhaba ki ho sada Ya Rabb-e-Mustafa
Mahshar mein Pul-e-Sirat pe mere qadam kahin Jayen phisal na Ya Khuda Ya Rabb-e-Mustafa
Firdaus mein pados de apne Habib ka Maula Ali ka wasita Ya Rabb-e-Mustafa
Tu be-hisab bakhsh de Attar-e-zaar ko Tujh ko Nabi ka wasita Ya Rabb-e-Mustafa





