Hai jis ki saari guftagu wahy-e-Khuda yeh hi toh hain Haq jis ke chehre se ayaan woh haq-numa yahi toh hain
Suraj mein jin ki hai chamak jin ka ujaala chaand mein Phoolon mein jin ki hai mehak woh meh-liqaa yahi toh hain
Saara jahaan chhor de jis mujrim-e-deed kaar ko Daaman mein un ke woh chhupe mushkilkusha yahi toh hain
Har lab pe jin ka zikr hai har dil mein jin ki fikr hai Gaate hain jin ke geet sab subh-o-masa yahi toh hain
Charcha hai jin ka chaar soo har gul mein jin ka rang-o-bu Hain husn ki jo aabru woh dil-ruba yahi toh hain
Baagh-e-risalat ki hain jar aur hain bahaar-e-aakhiri Mabda jo us gulshan ke thay woh muntaha yahi toh hain
Yeh hain Habib-e-Kibriya yeh hain Muhammad Mustafa ﷺ Do jag ko jin ki zaat ka hai aasra yahi toh hain
Jis ki na le koi khabar hon band jis par saare dar Us ki yeh rakhte hain khabar us ki pana yahi toh hain
Un ka mubarak naam bhi be-chain dil ka chain hai Jo ho mareez-e-laadawa us ki dawa yahi toh hain
Gun gaayein jin ke ambiya maangein rusul jin ki dua Woh do jahaan ke mudda'a sall-e-'ala yahi toh hain
Sajdah shajar jinhein karein patthar gawahi jin ki dein Dukh dard oont bhi kahein haajat rawa yahi toh hain
Hai farsh ka jo baadsha hai arsh jis ke zer-e-pa Salik mila jis se Khuda woh ba-Khuda yahi toh hain





