Hai aalam ka rozi-rasaan mera Allah Hai khallaq-o-Rabb-e-jahan mera Allah
Wara-e-hadd-e-har guman mera Allah Ayaan mera Allah nahan mera Allah
Kahan hai woh lekin, kahan woh nahi hai Yahan mera Allah wahan mera Allah
Tasawwuf hai daarain mein is ka jaari Hai maqsood-e-har ins-o-jaan mera Allah
Khila kar dilon mein ma'arif ke ghunchay Sajata hai gulzar-e-jaan mera Allah
Main kya is ki Shahzad toseef likhoon Kahan main za'eef aur kahan mera Allah