Gunahon ki nahoosat barh rahi hai dam badam Maula Main taubah par nahi reh pa raha saabit qadam Maula
Kamar tori hai isyaan ne, dabaya nafs-o-shaitan ne Na karna hashr mein ruswa, mira rakhna bharam Maula
Gunahon ne mujhe haye! kahin ka bhi nahi chora Karam ho az tufail-e-Sayyid-e-Arab-o-Ajam Maula!
Andheri qabr ka ehsas hai phir bhi nahi jatin Gunahon ki Khudaya aadatein, farma karam Maula
Na karna hashr mein pursish miri ho be-sabab bakhshish Ata kar bagh-e-firdous az pay-e-Shah-e-Umam Maula
Gunah karte hue gar mar gaya to kya karoon ga main Banay ga haye mera kya karam farma karam Maula
Khirad karti nahi ab kaam Elahi! main hua na-kaam Tujhi se iltija hai mujh pe kar rahm-o-karam Maula
Musalman hoon agar chah bad hoon, sachay dil se karta hoon Tere har hukm ke aagay sar-e-tasleem-e-kham Maula
Tu darr apna inayat kar rahen us darr se aankhein tar Mita khauf-e-jahan dil se mita duniya ka gham Maula
Tu bas rehna sada raazi, nahi hai taab-e-narazi Tu na-khush jis se ho barbaad hai teri qasam Maula
Chalon duniya se main is shaan se aye kaash! Ya Allah Shah-e-Abrar ki chaukhat pe sar ho mera kham Maula
Sunahri jaliyon ke samnay aye kaash! aisa ho Nikal jaye Rasool-e-Pak ke jalwon mein dam Maula
Ata kar aafiyat tu naz’a-o-qabr-o-hashr mein Ya Rab Waseela Fatima Zahra ka kar lutf-o-karam Maula
Elahi pul-e-sirat ik pal ke andar paar kar jaaun Tu kar aisi inayat az pay-e-Shah-e-Haram Maula
Main rahmat, maghfirat, dozakh se azaadi ka sail hoon Mah-e-Ramzan ke sadqay mein farma de karam Maula
Bara’at de azab-e-qabr se naar-e-jahannam se Mah-e-Shaban ke sadqay mein kar fazl-o-karam Maula
Ibadat mein, riyazat mein, tilawat mein laga de dil Rajab ka wasta deta hoon farma de karam Maula
Bana mujh ko Muhammad Mustafa ka aashiq-e-sadiq Tu de de soz-e-seena kar inayat chashm-e-nam Maula
Nahi darkar woh khushiyan, jo ghaflat ka banein saman Ata kar apni ulfat apnay piaray ka tu gham Maula
Gham-e-ishq-e-Nabi aisa ata farma pay-e-Murshid Ho Naat-e-Mustafa suntay hi meri aankh nam Maula
Bachein be-kaar baton se parhein aye kaash kasrat se Tere mehboob par har dam durood-e-pak hum Maula
Hamari faaltu baton ki aadat door ho jaye Lagayen mustaqil qufl-e-Madinah lab pe hum Maula
Jisay neki ki dawat doon usay de de hidayat tu Zuban mein de asar kar de ata zor-e-qalam Maula
Elahi har muballigh paikar-e-ikhlas ban jaye Karam ho Dawat-e-Islami walon par karam Maula
Zamanay ke masaib ne Elahi gher rakha hai Pay-e-Shah-e-Madinah door hoon ranj-o-alam Maula
Rasool-e-Pak ki dukhiyari ummat par inayat kar Mareezon, gham-zadon, aafat naseebon par karam Maula
Pay-e-Shah-e-Madinah ab musharraf hajj se farma de Chalay Attar phir rota hua su-e-Haram Maula





