Faza-e-fikr par chhaya, hua ghubar utaar Riyaz-e-jaan mein mere Rabb nayi bahaar utaar
Ujaal Ka'ba-e-dil ke ghalaf-e-kohna ko Dayar-e-Sarwar-e-Aalam mein ek baar utaar
Nijaat bakhsh mujhe ghair ke talluq se Bahut za'eef hoon sar se mere, yeh baar utaar
Jo tere hukm ko naafiz kare zamane mein Falak se farsh par ab tu woh shahsawar utaar
Nikaal mere rag-o-pay se khwahishat ka mail Ananiyat ka meri aankh se khumaar utaar
Setiza-kaar hai har mauj meri kashti se Hayat-o-maut ke Maalik ise bhi paar utaar
Naye khayal ki Shahzad ko basharat de Dil-e-hazein pe koi harf-e-khushgawar utaar