Chhup kar bhi hum jo kar rahe hain Allah dekh raha hai Gaye kidhar munh kidhar rahe hain Allah dekh raha hai
Samaan-e-aakhirat ka bandobast kiya hai kitna Duniya par kitna mar rahe hain Allah dekh raha hai
Kitna hum ne dhyan ke har khanay mein us ko rakha Rakha ya be-khabar rahe hain Allah dekh raha hai
Pait ghareebon ke khaali hain hum dono hathon se Apni tijoriyan bhar rahe hain Allah dekh raha hai
Kis ke khoon ki chadar odhi kis ki khaal utari Zaalim ya chara-gar rahe hain Allah dekh raha hai
Zakhmon se hum ko hai kitni waalihanah dilchaspi Laga rahe hain ke bhar rahe hain Allah dekh raha hai
Muhammad Mustafa ﷺ ke naqsh-e-qadam pe chalne walay Kin raston se guzar rahe hain Allah dekh raha hai
Allah ka hai khauf Muzaffar kitna hum bandon ko Bandon se kitna dar rahe hain Allah dekh raha hai





