Bolta main hoon, haqeeqat nazar aaye us ki Pas-e-har aaeena soorat nazar aaye us ki
Har sahar hoti hai us ki hi ijazat se tulu Lamhay lamhay mein sadaqat nazar aaye us ki
Zehan-e-insan ki rasai se bohat bala hai Narasai mein bhi hikmat nazar aaye us ki
Ek ho kar bhi woh maujood har ek rang mein hai Yaani kasrat mein bhi wahdat nazar aaye us ki
Gaur kijay to nikal aatay hain matlab kitnay Zarra zarra mujhay aayat nazar aaye us ki
Har burai pe malamat karay insan ki zameer Dil-e-mujrim bhi adalat nazar aaye us ki
Hum khareedar-e-zameen aur woh zameen ka khaliq Hakimon par bhi hukumat nazar aaye us ki
Main hoon zinda to Muzaffar yeh karam hai us ka Meri har saans mein qudrat nazar aaye us ki





