Badal ko shabnam kya samjhe suraj ko sharara kya jaane Rehman-o-Raheem hai woh kitna, insaan bechara kya jaane
Sab roshniyon ka khaliq woh har maghrib woh har mashriq woh Uske anwar ki wus'at ko ik subah ka tara kya jaane
Jo us se mohabbat karta hai jo us ki ibadat karta hai Jo us se tijarat karta hai nuqsan khasara kya jaane
Izad, arsh-e-Izad hai kahan, unchai ki sarhad hai kahan Gehrai ki masnad hai kahan, yeh baat kinara kya jaane
Allah ki shaan Muzaffar se kya poochte ho duniya walo Milte hain kahan duniya ke sire shayar-e-awara kya jaane





