Allah Allah Allah Shahon ka Shah Allah Dunya panah Allah uqba panah Allah
Kitne safed hum hain kitne siyah hum hain Tan ke gawah hum hain mann ka gawah Allah
Bharta hai rang kya kya, sada si zindagi mein Kanton mein teergi mein dikhlaye rah Allah
Mitti ko putliyon mein rakhta hai roshni ko Deta hai aadmi ko husn-e-nigah Allah
Apni raza ko bheje khwahish ke raaste mein Laghzish ke raaste mein ik intibah Allah
Rakhta hai dhyan banda dhande ka jaise apne Bande ka aise apne hai khair khwah Allah





