We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Allah Allah Kiya KarNot Verified

Muzaffar Warsi

Allah Allah kiya kar Allah ke aage jhukne walon ke sath jhuka kar Allah Allah kiya kar


Jhukne wali peshani ko buland karta hai woh Jo us se darta hai us ko pasand karta hai woh Woh tujh ko khushiyan de ga tu us ko khush rakha kar Allah Allah kiya kar


Yaad kiya kar us ko woh bhi tujh ko yaad kare ga Tere andar ki veerani ko aabad kare ga Dekh raha hai jo tujh ko tu bhi us ko dekha kar Allah Allah kiya kar



Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play


Aate jaate mausam se paigham liya kar us ka Jis ne tujh ko goyaai di naam liya kar us ka Shah rag se bhi paas hai jo us se mat door raha kar Allah Allah kiya kar


Tauba karna, shukr baja lana mansab hai tera Tu us ka banda hai woh khaliq hai Rabb hai tera Maa se baap se barh kar chahne wale ko chaha kar Allah Allah kiya kar


Har talib ko us ki talab se siwa diya karta hai Zarra mango to woh arz-o-sama diya karta hai Lootni hai rahmat us ki to raaton ko jaaga kar Allah Allah kiya kar


Band aankhon se bhi tu us ki taraf agar aaye ga Dhyan ke parde par woh tujh ko saaf nazar aaye ga Us ko pana chahta hai to khud apna peecha kar Allah Allah kiya kar

Never Be Without Your Favorite Lyrics - Get the App for Offline Access!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah