We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Saans Na Lun Darood BinNot Verified

Muzaffar Warsi

Saans na loon durood bin Sall-e-ala Muhammad ﷺ Nama na dekh saans gin Sall-e-ala Muhammad ﷺ


Waris-e-zindagi madad Ro ke hai raah sang had Manzil-e-ishq ta-abad Fursat-e-umar chaar din Sall-e-ala Muhammad ﷺ


Bheer bhi takhliya nasheen Arsh bhi hashiya nasheen Aye mere boriya nasheen Tere ghulam ins-o-jinn Sall-e-ala Muhammad ﷺ



Free Up Space - Get Lyrics Without Bulky Screenshots!

Get it on Google Play


Dard bhi is qadar diya Sara wajood bhar diya Ek nazar ne kar diya Dono jahan se mutma'in Sall-e-ala Muhammad ﷺ


Zawiya-e-najat se Jang rahe hayat se Aap ke iltifat se Sehal hon marhale kathan Sall-e-ala Muhammad ﷺ


Naam faqat tera likhoon Aur jagah jagah likhoon Is ke siwa main kya likhoon Parcha-e-dil ke mumtahin Sall-e-ala Muhammad ﷺ

No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah