Mere Allah ke nigaar salaam Dast-e-qudrat ke shahkaar salaam
Dono aalam ke taajdaar salaam Jaan-e-har jaan-o-jaandaar salaam
Nikhat-e-har chaman hazaar salaam Jaan-e-har bulbul hazaar salaam
Khaak-e-Tayyab bane meri hasti Arz karta hai khaaksar salaam
Shauq-e-paiham ki iltija sun lo Tum pe ho meri jaan nisaar salaam
Phir Madine mein kab bulaoge Tum se kehta hai intezaar salaam
Mujh ko zaalim pe ikhtiyaar nahin Tum to rakhte ho ikhtiyaar salaam
Khuld kehti hai yun Madine se Tujh pe ae khuld ki bahaar salaam
Motiyon ko saja ke palkon par Kehti hai chashm-e-ashkbaar salaam
Apni ulfat ka aisa jaam pila Jis ka barhta rahe khumaar salaam
Dard-e-ulfat mein de maza aisa Dil na paaye kabhi qaraar salaam
Dil ki dharkan tumhari yaad bane Har nafas tum pe beshumaar salaam
Teri khaatir zaleel hona hai Meri izzat mere waqaar salaam
Apne Akhtarؔ ka lo salaam shaha Tum pe ae jaan ae qaraar salaam





