Zindagi sang-e-dar-e-yaar se aage na badhi Aashiqi matla-e-deedar se aage na badhi
Teergi gesoo-e-khum-daar se aage na badhi Roshni tabish-e-rukhsar se aage na badhi
Dilbari raunaq-e-bazaar se aage na badhi Saadgi hasrat-e-izhaar se aage na badhi
Khud faramosh tere arsh ko chhoo kar aaye Khwajgi jubba-o-dastaar se aage na badhi
Bas mein hota to teri bazm sajate hum bhi Be-basi saya-e-deewar se aage na badhi
Jalwa-e-zaat se aage thi faqat zaat hi zaat Bandagi raqs-e-sar-e-daar se aage na badhi
Be-khudi dasht-o-bayaban se wara hai Wasif Aagahi wadi-e-pur-khar se aage na badhi