Ali ؑ Ali ؑ irfan ka dar hai, Ali ؑ goya wali gar hai Ali masti ka sagar hai, Ali ؑ waris-e-Payambar hai
Durood un par salam un par, Ali ؑ jin ka baradar hai Ali ؑ tatheer ka paikar, Ali ؑ itrat ka shauhar hai
Ali ؑ ka naam Asadullah, Ali ؑ ka chehra Wajhullah Yadullah hai Ali Allah, Ali ؑ millat ka rahbar
Ali ؑ asl-e-shahadat hai, Ali ؑ sajdon ki azmat hai Kahin Shabbir ؑ ka sajda, kahin sajde mein Shabbar ؑ hai
Nabi ﷺ khatam-e-nabuwwat ka, Ali ؑ khatam-e-khilafat ka Nabi ﷺ ka kaun hai humsar, Ali ؑ ka kaun humsar hai
Ali ؑ ki shaan-e-yaktai hamein har ja nazar aayi Kahin Marhab, kahin Khyber, kahin nok-e-sanan sar hai
Nabi ﷺ zaat-e-Noorullah, Ali ؑ hai noor ka shaida Ali ؑ hai shahid-e-aula, Ali ؑ ka Ka'abay mein ghar hai
Main hoon Wasif ؔ Ali wird-e-Ali ؑ hai mera afsana Mujhe hai kaam sajdon se, Ali ؑ ke dar mera sar hai




