Main maati ki murti maati mera des Maati mori jaat hai main laayi sandes
Maati bheda gum maati ki kya baat Sundar phool se poochhiyo maati kaisa des
Maati mein jal agni maati pawan jhakor Maati hi man mohni maati kare kalees
Maati maati kha gayi maati murakh kokh Maati maati janam de maati sau sau bhes
Maati bhoole prem ko jag kaljug ban jaaye Maati jag ka des hai jag iska pardes
Maati khar khar bolti hai beete jag hazaar Maati laagi dhadkanein kharkhar hai chau des
Maati aaye kokh se maati kokh base Dharti mata dharm hai maati ka sandes
Maati jag ko moh ke jaaye maati sang Gauri soye sej par mukh par daale kes
Khusroؔ ka gar aatma Wasifؔ gar ki baat Amar kare par matma maati des bades