Ya Ali ؑ wird ki pukaar hoon main Hosh rakhta hoon mast-waar hoon main
Jin ki thokar se jaam bharte hain Paaye-Saqi pe ashkbaar hoon main
Bura na maan agar keh diya wali hoon main Nahin hai jurm ke adna sag-e-Ali ؑ hoon main
Unheen ka faiz hua hai unheen ka nazar-e-karam Ali ؑ ki yaad mein har dam sinjali hoon main




