Tere qareeb huye jab se ashk baar huye Hazaar baar kahan sad hazaar baar huye
Tumhari bazm mein taare bhi pur-sukoon thay magar Yeh aur baat ke hum door be-qaraar huye
Baqa fana ki fana hi baqa ki raah bani Khizaan se guzre toh hum baad-e-nau-bahaar huye
Mila na hum ko agar sang-e-aastaan ka nishaan Barang-e-mauj uthay raah ka ghubaar huye
Hua tha husn hi khud mail-e-karam Wasif Woh apni zaat mein makhfi thay aashkaar huye