Zarre zarre pe chhaya hua noor hai, mere meethe Madine ki kya baat hai Noor se sab faza iski mamoor hai, mere meethe Madine ki kya baat hai
Noor phoolon mein hai noor kaliyon mein hai, noor bazaar mein noor galiyon mein hai Dasht-o-kohsar par noor hi noor hai, mere meethe Madine ki kya baat hai
Har taraf rehmaton ki hai chhayi ghata, mehki mehki hai kya khoob Madani faza Zarre zarre pe qurban yahan Toor hai, mere meethe Madine ki kya baat hai
Kya bayaan Dasht-e-Tayyaba ki hon khoobiyan, phool toh phool kaante bhi dilkash yahan Patte patte pe chhaya hua noor hai, mere meethe Madine ki kya baat hai
Kaif-o-masti mein doobe hue raat din, bheeni khushbu se mehke hue raat din Jis ko dekho yahan aake masroor hai, mere meethe Madine ki kya baat hai
Baagh-e-Tayyaba mein rehti hai hardam bahaar, aake dekho yahan ka samaa khushgawar Sab faza iski khushbu se bharpoor hai, mere meethe Madine ki kya baat hai
Ghamzada jo bhi darbar mein aagaya, Shah ki woh nigah-e-karam paagaya Saara ranj-o-alam iska kafoor hai, mere meethe Madine ki kya baat hai
Dekho Tayyaba ko kaisi fazeelat mili, qabr-e-anwar isi mein banayi gayi Gumbad-e-sabz har aankh ka noor hai, mere meethe Madine ki kya baat hai
Sabz gumbad ke jalwon pe qurban jaan, balkay qurban hai husn-e-kawn-o-makaan Har manare pe chhaya hua noor hai, mere meethe Madine ki kya baat hai
Khaak-e-Tayyaba mein rakhi hai Rab ne shifa, saari bimariyon ki hai is mein dawa Iski barkat se har ik marz door hai, mere meethe Madine ki kya baat hai
Aas mujhko tumhare karam ki Shaha, bheek de do mujhe apne gham ki Shaha! Keh do Aaqa! teri arz manzoor hai, mere meethe Madine ki kya baat hai
Phir karam is pe Sarkar ka hogaya, bakht bedar Attar ka hogaya Roobaru Rowza-e-Paak ka noor hai, mere meethe Madine ki kya baat hai





